gum hai faza chaman ki nazaron ko kya hua
gum hai fazā chaman kī nazāroñ ko kyā huā
gul haiñ udaas udaas bahāroñ ko kyā huā
kyoñ un kī raushnī hai shab-e-ġham se duur duur
ai āsmān tere sitāroñ ko kyā huā
dekhe to koī un kā taġhāful ki bād-e-marg
vo pūchhte haiñ dard ke māroñ ko kyā huā
qārūn-e-vaqt hai mirī hālat pe ta.ana-zan
parvardigār tere sahāroñ ko kyā huā
bār-e-garāñ hue haiñ takallum ke phuul bhī
rāhoñ meñ chalte-phirte mazāroñ ko kyā huā
mahfūz ahl-e-zulm kā qasr-e-hayāt hai
ai dil kī aah tere sharāroñ ko kyā huā
vo to havā-e-vaqt ke jhoñke the ai 'ḳhalīq'
kyoñ aaj sochte ho ki yāroñ ko kyā huā
gum hai faza chaman ki nazaron ko kya hua
gul hain udas udas bahaaron ko kya hua
kyon un ki raushni hai shab-e-gham se dur dur
ai aasman tere sitaron ko kya hua
dekhe to koi un ka taghaful ki baad-e-marg
wo puchhte hain dard ke maron ko kya hua
qarun-e-waqt hai meri haalat pe tana-zan
parwardigar tere sahaaron ko kya hua
bar-e-garan hue hain takallum ke phul bhi
rahon mein chalte-phirte mazaron ko kya hua
mahfuz ahl-e-zulm ka qasr-e-hayat hai
ai dil ki aah tere shararon ko kya hua
wo to hawa-e-waqt ke jhonke the ai 'KHaliq'
kyon aaj sochte ho ki yaron ko kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.