gum ho ke apni zat mein kya bolne lage
gum ho ke apnī zaat meñ kyā bolne lage
aisā na ho shikast-e-anā bolne lage
jo karb-o-iztirāb ke ma.anī samajh ga.e
vo log ab ba-rang-e-vafā bolne lage
ehsās-e-kamtarī ne baḌhā dī matā-e-fikr
jab pāsbān-e-aql sivā bolne lage
ġhairoñ ko kyā kahūñ unheñ ilzām kaise duuñ
ḳhud ham ko apne log burā bolne lage
ai fikr-e-aql-o-hosh junūñ se gurez kar
aisī ḳhatā na kar ki ḳhatā bolne lage
Thahregī kaise husn ke chehre pe dilkashī
jab ang ang sharm-o-hayā bolne lage
jab bhī huā nafāz-e-sharī.at kā tazkira
bastī meñ har taraf se ḳhudā bolne lage
patte gire jo peḌoñ se kal raat TuuT kar
mahsūs yuuñ huā tire pā bolne lage
'hairat' vo kyā ġhazal hai ki hoñ ahl-e-fan ḳhamosh
ho baat jab ġhazal kā sila bolne lage
gum ho ke apni zat mein kya bolne lage
aisa na ho shikast-e-ana bolne lage
jo karb-o-iztirab ke mani samajh gae
wo log ab ba-rang-e-wafa bolne lage
ehsas-e-kamtari ne baDha di mata-e-fikr
jab pasban-e-aql siwa bolne lage
ghairon ko kya kahun unhen ilzam kaise dun
KHud hum ko apne log bura bolne lage
ai fikr-e-aql-o-hosh junun se gurez kar
aisi KHata na kar ki KHata bolne lage
Thahregi kaise husn ke chehre pe dilkashi
jab ang ang sharm-o-haya bolne lage
jab bhi hua nafaz-e-shariat ka tazkira
basti mein har taraf se KHuda bolne lage
patte gire jo peDon se kal raat TuT kar
mahsus yun hua tere pa bolne lage
'hairat' wo kya ghazal hai ki hon ahl-e-fan KHamosh
ho baat jab ghazal ka sila bolne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.