gum ho na jae raunaq-e-bazar kya karen
gum ho na jaa.e raunaq-e-bāzār kyā kareñ
mahñgā.ī is qadar hai ḳharīdār kyā kareñ
bachchoñ se apne uns kā isrār kyā kareñ
ham ḳhud haiñ apnī zaat se bezār kyā kareñ
izzat kā paas koī bhī kartā nahīñ hai ab
shahr-e-anā meñ sāhab-e-dastār kyā kareñ
pathrā ga.ī hoñ raat kī āñkheñ hī jab to phir
zulmat-kadoñ meñ dīda-e-bedār kyā kareñ
kāñdhoñ pe sab ke rakkhī huī hai salīb-e-shab
ai sub.h-e-zindagī tire ġham-ḳhvār kyā kareñ
aatī nahīñ hai dil ke dhaḌakne kī bhī sadā
is ḳhāmushī meñ sāhab-e-guftār kyā kareñ
ahl-e-zabāñ ke muñh se zabāñ khīñch lī ga.ī
ab be-zabān jur.at-e-iz.hār kyā kareñ
dast-e-sitam ne kaaT lī bīnā.iyoñ kī fasl
ahl-e-nazar shu.ūr kā parchār kyā kareñ
bahre haiñ kaan zauq-e-samā.at ke bāvajūd
dhartī pe aaj adl ke autār kyā kareñ
har samt iztirāb hai bhauñchāl kī tarah
aisī fazā meñ sābit-o-sayyār kyā kareñ
ab zahr-e-habs sehn-e-chaman kī hai zindagī
'sāġhar' amīn-e-nik.hat-e-gulzār kyā kareñ
gum ho na jae raunaq-e-bazar kya karen
mahngai is qadar hai KHaridar kya karen
bachchon se apne uns ka israr kya karen
hum KHud hain apni zat se bezar kya karen
izzat ka pas koi bhi karta nahin hai ab
shahr-e-ana mein sahab-e-dastar kya karen
pathra gai hon raat ki aankhen hi jab to phir
zulmat-kadon mein dida-e-bedar kya karen
kandhon pe sab ke rakkhi hui hai salib-e-shab
ai subh-e-zindagi tere gham-KHwar kya karen
aati nahin hai dil ke dhaDakne ki bhi sada
is KHamushi mein sahab-e-guftar kya karen
ahl-e-zaban ke munh se zaban khinch li gai
ab be-zaban jurat-e-izhaar kya karen
dast-e-sitam ne kaT li binaiyon ki fasl
ahl-e-nazar shuur ka parchaar kya karen
bahre hain kan zauq-e-samaat ke bawajud
dharti pe aaj adl ke autar kya karen
har samt iztirab hai bhaunchaal ki tarah
aisi faza mein sabit-o-sayyar kya karen
ab zahr-e-habs sehn-e-chaman ki hai zindagi
'saghar' amin-e-nikhat-e-gulzar kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.