gum kar le apne jalwon mein tu sar-basar mujhe
gum kar le apne jalwon mein tu sar-basar mujhe
Jiya Lal Datt Rafeeq
MORE BYJiya Lal Datt Rafeeq
gum kar le apne jalvoñ meñ tū sar-basar mujhe
merī ḳhabar tujhe na ho terī ḳhabar mujhe
marzī hai us kī ḳhaar hoñ phūloñ ke saath saath
ulfat ke saath de diyā dard-e-jigar mujhe
ik lazzat-e-visāl se dil ko sukūñ kahāñ
kuchh is se bhī buland atā ho nazar mujhe
kis buute pe maiñ quvvat-e-parvāz māñgtā
pahle banā na dete jo ek musht par mujhe
jab bhī tujhe na ḳhvāb meñ maiñ dekh luuñ 'rafīq'
tārīk mehr-o-māh bhī aate nazar mujhe
gum kar le apne jalwon mein tu sar-basar mujhe
meri KHabar tujhe na ho teri KHabar mujhe
marzi hai us ki KHar hon phulon ke sath sath
ulfat ke sath de diya dard-e-jigar mujhe
ek lazzat-e-visal se dil ko sukun kahan
kuchh is se bhi buland ata ho nazar mujhe
kis bute pe main quwwat-e-parwaz mangta
pahle bana na dete jo ek musht par mujhe
jab bhi tujhe na KHwab mein main dekh lun 'rafiq'
tarik mehr-o-mah bhi aate nazar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.