gum-shuda KHwab mein rakha kya hai
gum-shuda ḳhvāb meñ rakhā kyā hai
aa.ina jhuuT ke sivā kyā hai
kuchh darīche kabhī nahīñ khulte
tū mirī or dekhtā kyā hai
us kī āñkheñ hī us ko lauTā do
aur ye shahr māñgtā kyā hai
aag huuñ mujh se khelne vaalā
jal na jaa.e to phir maza kyā hai
naam us kā likhā hai māthe par
jis ko paḌhnā nahīñ likhā kyā hai
darmiyāñ bas raho kahīñ 'nainā'
chāñd-tāroñ se pūchhnā kyā hai
gum-shuda KHwab mein rakha kya hai
aaina jhuT ke siwa kya hai
kuchh dariche kabhi nahin khulte
tu meri or dekhta kya hai
us ki aankhen hi us ko lauTa do
aur ye shahr mangta kya hai
aag hun mujh se khelne wala
jal na jae to phir maza kya hai
nam us ka likha hai mathe par
jis ko paDhna nahin likha kya hai
darmiyan bas raho kahin 'naina'
chand-taron se puchhna kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.