gum-shuda logon ko kaise ganw mein laega tu
gum-shuda logoñ ko kaise gaañv meñ lā.egā tū
izhdihām-e-shahr meñ to ḳhud hī kho jā.egā tū
pattharoñ ke shahr meñ jo aadmī patthar kā hai
un ko kaise kāñch kī poshāk pahnā.egā tū
gard-e-ayyārī kī tah ko saaf maiñ kar duuñ agar
apnā chehra dekh kar darpan meñ Dar jā.egā tū
tū simaT jā.egā bargad kī tarah mumkin nahīñ
sūkhe pattoñ kī tarah ik din bikhar jā.egā tū
sach kahegā tū adālat meñ agar ai 'qādrī'
apnā sar bhī apne shānoñ par nahīñ pā.egā tū
gum-shuda logon ko kaise ganw mein laega tu
izhdiham-e-shahr mein to KHud hi kho jaega tu
pattharon ke shahr mein jo aadmi patthar ka hai
un ko kaise kanch ki poshak pahnaega tu
gard-e-ayyari ki tah ko saf main kar dun agar
apna chehra dekh kar darpan mein Dar jaega tu
tu simaT jaega bargad ki tarah mumkin nahin
sukhe patton ki tarah ek din bikhar jaega tu
sach kahega tu adalat mein agar ai 'qadri'
apna sar bhi apne shanon par nahin paega tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.