guman-andar-guman ki kaifiyat hai
gumāñ-andar-gumāñ kī kaifiyat hai
zamīñ par āsmāñ kī kaifiyat hai
badan par barf ko mahsūs karnā
koī āb-e-ravāñ kī kaifiyat hai
ye kaisā tajraba hai sochtā huuñ
makāñ meñ lā-makāñ kī kaifiyat hai
koī āvāz ubhrī hai badan meñ
sukūt-e-jāvedāñ kī kaifiyat hai
nahīñ huuñ maiñ nahīñ huuñ boltā huuñ
nahīñ meñ yā'nī haañ kī kaifiyat hai
tire lab jhiil par ubhre hue haiñ
'ajab zaḳhm-e-nihāñ kī kaifiyat hai
'tarīr' ik baar jiinā chāhtā huuñ
jo sab ā.indagāñ kī kaifiyat hai
guman-andar-guman ki kaifiyat hai
zamin par aasman ki kaifiyat hai
badan par barf ko mahsus karna
koi aab-e-rawan ki kaifiyat hai
ye kaisa tajraba hai sochta hun
makan mein la-makan ki kaifiyat hai
koi aawaz ubhri hai badan mein
sukut-e-jawedan ki kaifiyat hai
nahin hun main nahin hun bolta hun
nahin mein ya'ni han ki kaifiyat hai
tere lab jhil par ubhre hue hain
'ajab zaKHm-e-nihan ki kaifiyat hai
'tarir' ek bar jina chahta hun
jo sab aaindagan ki kaifiyat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.