guman hi guman hai qayas hi qayas hai
gumān hī gumān hai qayās hī qayās hai
ye daur vo hai jis meñ har barahnagī libās hai
koī nazar uThā ke dekhtā nahīñ kisī taraf
har ek shaḳhs apnī justujū meñ bad-havās hai
ye eqtidār-o-iḳhtiyār sīm-o-zar kī ye bahār
kabhī kisī ke paas hai kabhī kisī ke paas hai
varaq varaq bulandiyoñ ko chhū rahī haiñ pastiyāñ
ye zindagī sahīfa-e-amal kā iqtibās hai
koī hayāt-āshnā mile to guftugū kareñ
koī ḳhudī-shanās hai koī ḳhudā-shanās hai
guman hi guman hai qayas hi qayas hai
ye daur wo hai jis mein har barahnagi libas hai
koi nazar uTha ke dekhta nahin kisi taraf
har ek shaKHs apni justuju mein bad-hawas hai
ye eqtidar-o-iKHtiyar sim-o-zar ki ye bahaar
kabhi kisi ke pas hai kabhi kisi ke pas hai
waraq waraq bulandiyon ko chhu rahi hain pastiyan
ye zindagi sahifa-e-amal ka iqtibas hai
koi hayat-ashna mile to guftugu karen
koi KHudi-shanas hai koi KHuda-shanas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.