ghumbad-e-zat mein ab koi sada dun to chalun
ġhumbad-e-zāt meñ ab koī sadā duuñ to chalūñ
apne so.e hue sāthī ko jagā luuñ to chalūñ
phir bikhar jā.ūñgā maiñ raah meñ zarroñ kī tarah
koī paimān-e-vafā ḳhud se maiñ bāñdhūñ to chalūñ
jaane tū kaun hai kis samt bulātā hai mujhe
terī āvāz kī parchhā.īñ ko chhū luuñ to chalūñ
bujh na jaa.eñ tire jalvoñ ke muqaddas fānūs
apne bhīge hue dāman ko nichoḌūñ to chalūñ
kitnā gambhīr hai kohrām sukūt-e-shab kā
koī āvāz kā paikar kahīñ dekhūñ to chalūñ
dosh-e-tūfāñ se koī mauj bulātī hai mujhe
reza reza hai badan ab use chun luuñ to chalūñ
kitnī sadiyoñ kī masāfat abhī baaqī hai 'rashīd'
hāñpte jism kā ye ḳhol utārūñ to chalūñ
ghumbad-e-zat mein ab koi sada dun to chalun
apne soe hue sathi ko jaga lun to chalun
phir bikhar jaunga main rah mein zarron ki tarah
koi paiman-e-wafa KHud se main bandhun to chalun
jaane tu kaun hai kis samt bulata hai mujhe
teri aawaz ki parchhain ko chhu lun to chalun
bujh na jaen tere jalwon ke muqaddas fanus
apne bhige hue daman ko nichoDun to chalun
kitna gambhir hai kohram sukut-e-shab ka
koi aawaz ka paikar kahin dekhun to chalun
dosh-e-tufan se koi mauj bulati hai mujhe
reza reza hai badan ab use chun lun to chalun
kitni sadiyon ki masafat abhi baqi hai 'rashid'
hanpte jism ka ye KHol utarun to chalun
- Book : Fasiil-e-lab (Pg. 99)
- Author : Rashiid Qaisarani
- Publication : Aiwan-e-urdu Taimuriya karachi (973)
- Edition : 973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.