gumbad-e-zulm girane ki KHabar milti hai
gumbad-e-zulm girāne kī ḳhabar miltī hai
ḳhātim-e-vaqt ke aane kī ḳhabar miltī hai
vo hunar haath meñ aaya mujhe ghar meñ baiThe
band āñkhoñ se zamāne kī ḳhabar miltī hai
qais likhtā hai mire naam pe naame to mujhe
dasht meñ ḳhaak uḌāne kī ḳhabar miltī hai
jaise āyāt utartī haiñ kisī ke dil par
yuuñ musāfir ko Thikāne kī ḳhabar miltī hai
ya.anī maslūb kiyā jā.egā mujh ko phir se
ik na.ī daar sajāne kī ḳhabar miltī hai
na mujhe ishq meñ hotī hai kabhī maat 'suhaib'
na mujhe jaan se jaane kī ḳhabar miltī hai
gumbad-e-zulm girane ki KHabar milti hai
KHatim-e-waqt ke aane ki KHabar milti hai
wo hunar hath mein aaya mujhe ghar mein baiThe
band aankhon se zamane ki KHabar milti hai
qais likhta hai mere nam pe name to mujhe
dasht mein KHak uDane ki KHabar milti hai
jaise aayat utarti hain kisi ke dil par
yun musafir ko Thikane ki KHabar milti hai
yani maslub kiya jaega mujh ko phir se
ek nai dar sajaane ki KHabar milti hai
na mujhe ishq mein hoti hai kabhi mat 'suhaib'
na mujhe jaan se jaane ki KHabar milti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.