gumnam Dare baiThe hain me’mar ghazal ke
gumnām Dare baiThe haiñ me’mār ġhazal ke
choroñ ne sajā rakkhe haiñ bāzār ġhazal ke
piite haiñ lahū merā jab ash'ār ġhazal ke
tab jā ke chamak paate haiñ ruḳhsār ġhazal ke
is darja asar-dār haiñ ash'ār ġhazal ke
farzāne liye baiThe haiñ aḳhbār ġhazal ke
chheḌā jo tarannum to thirakne lagīñ sāñseñ
jazboñ kā badan chhūne lage taar ġhazal ke
'iqbāl' kā ho vaqt ki 'ḳhusrav' kā zamāna
har daur meñ gesū rahe ḳhamdār ġhazal ke
behtar haiñ sabhī sinf-e-suḳhan apnī jagah par
lekin mire jazbāt haiñ bīmār ġhazal ke
jis roz se nāzil huī she'roñ pe javānī
mafhūm hue aur bhī tah-dār ġhazal ke
jab hogī mire zehn ke malbe kī khudā.ī
rag-rag meñ mirī nikleñge āsār ġhazal ke
jiddat na rivāyat na fasāhat na balāġhat
aise bhī kahe jaate haiñ ash'ār ġhazal ke
gumnam Dare baiThe hain me’mar ghazal ke
choron ne saja rakkhe hain bazar ghazal ke
pite hain lahu mera jab ash'ar ghazal ke
tab ja ke chamak pate hain ruKHsar ghazal ke
is darja asar-dar hain ash'ar ghazal ke
farzane liye baiThe hain aKHbar ghazal ke
chheDa jo tarannum to thirakne lagin sansen
jazbon ka badan chhune lage tar ghazal ke
'iqbaal' ka ho waqt ki 'KHusraw' ka zamana
har daur mein gesu rahe KHamdar ghazal ke
behtar hain sabhi sinf-e-suKHan apni jagah par
lekin mere jazbaat hain bimar ghazal ke
jis roz se nazil hui she'ron pe jawani
mafhum hue aur bhi tah-dar ghazal ke
jab hogi mere zehn ke malbe ki khudai
rag-rag mein meri niklenge aasar ghazal ke
jiddat na riwayat na fasahat na balaghat
aise bhi kahe jate hain ash'ar ghazal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.