gumrah hum huzur bahut din nahin rahe
gumrāh ham huzūr bahut din nahīñ rahe
apnī jaḌoñ se duur bahut din nahīñ rahe
sadiyoñ meñ jānvar se ham insāñ bane magar
vahshat kī zad se duur bahut din nahīñ rahe
us āḳhirī buzurg ke jaane ke baa'd phir
ghar ke adab-shu.ūr bahut din nahīñ rahe
jin ko gumāñ thā apne javānī ke daur par
vo sab gumāñ meñ chuur bahut din nahīñ rahe
bahke hamāre dil bhī fasādoñ ke daur meñ
dil meñ magar futūr bahut din nahīñ rahe
gumrah hum huzur bahut din nahin rahe
apni jaDon se dur bahut din nahin rahe
sadiyon mein jaanwar se hum insan bane magar
wahshat ki zad se dur bahut din nahin rahe
us aaKHiri buzurg ke jaane ke ba'd phir
ghar ke adab-shuur bahut din nahin rahe
jin ko guman tha apne jawani ke daur par
wo sab guman mein chur bahut din nahin rahe
bahke hamare dil bhi fasadon ke daur mein
dil mein magar futur bahut din nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.