gumrah kah rahe ho mujhe ye pata nahin
gumrāh kah rahe ho mujhe ye patā nahīñ
ye raah vo hai jis meñ koī naqsh-e-pā nahīñ
maiñ huuñ qusūr-vār sazā dījiye mujhe
maiñ ye samajh rahā huuñ mohabbat ḳhatā nahīñ
jis roz bhī vo sair-e-chaman ko na aa sake
us roz koī phuul chaman meñ khilā nahīñ
ma.asūmiyat to dekhiye dil toḌne ke baad
vo kah rahe haiñ koī hamārī ḳhatā nahīñ
'māhir' kiyā hai tanz kisī bevafā ne aaj
aise bhī log haiñ jinheñ pās-e-vafā nahīñ
gumrah kah rahe ho mujhe ye pata nahin
ye rah wo hai jis mein koi naqsh-e-pa nahin
main hun qusur-war saza dijiye mujhe
main ye samajh raha hun mohabbat KHata nahin
jis roz bhi wo sair-e-chaman ko na aa sake
us roz koi phul chaman mein khila nahin
masumiyat to dekhiye dil toDne ke baad
wo kah rahe hain koi hamari KHata nahin
'mahir' kiya hai tanz kisi bewafa ne aaj
aise bhi log hain jinhen pas-e-wafa nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.