gumrahiyon mein luT gai ishrat KHayal ki
gumrahiyon mein luT gai ishrat KHayal ki
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
gumrāhiyoñ meñ luT ga.ī 'ishrat ḳhayāl kī
ab justujū se paak hai sūrat ma.aal kī
rang-e-shafaq se shaan 'ayāñ hai jamāl kī
vo daad chāhte haiñ abhī se kamāl kī
rahmat ke vāste se faqat zul-jalāl kī
jur.at har ek riñd ne kī hasb-e-hāl kī
ġham hai firāq kā na ḳhushī hai visāl kī
merī nazar amiin hai husn-o-jamāl kī
saaqī kā iltifāt hai in'ām-e-inzibāt
jur.at nahīñ hai hosh ke muñh se savāl kī
parda bhī ho kabhī to kabhī rū-barū bhī ho
zāmin hai 'āfiyat kī ravish e'tidāl kī
chashm-e-karam ke saath surāhī bhī jhuk ga.ī
taqdīr dam-zadan meñ badal dī sifāl kī
ye mehr-o-māh husn-o-nazar aur rang-o-bū
'aks-āfrīniyāñ haiñ kisī ke jamāl kī
har ro'b-e-husn dāb-e-mohabbat mizāj-e-‘ishq
rakhtā hai sar-basar koī ḳhūbī kamāl kī
bā-vasf-e-shart-e-bandagī banda-navāz ne
āqā.ī baḳhsh dī hai 'amal kī ḳhayāl kī
us be-ḳhudī kā said huā hai sukūñ-nasīb
maḳhfī hai jo nazar se zavāl-o-kamāl kī
sar is liye na uTh sakā sajde se aaj tak
'izzat 'azīz hai ‘araq-e-infi’āl kī
zāhid ḳhudā kī dī huī ne'mat kā rang dekh
is se tamīz hogī harām-o-halāl kī
nām-e-ḳhudā ko rakhtā hai dil is liye 'azīz
āzād hai ye qaid se har ehtimāl kī
gumnāmiyoñ meñ 'shād' rahā tum sā be-navā
ustād laaj rah ga.ī dast-e-savāl kī
gumrahiyon mein luT gai 'ishrat KHayal ki
ab justuju se pak hai surat maal ki
rang-e-shafaq se shan 'ayan hai jamal ki
wo dad chahte hain abhi se kamal ki
rahmat ke waste se faqat zul-jalal ki
jurat har ek rind ne ki hasb-e-haal ki
gham hai firaq ka na KHushi hai visal ki
meri nazar amin hai husn-o-jamal ki
saqi ka iltifat hai in'am-e-inzibaat
jurat nahin hai hosh ke munh se sawal ki
parda bhi ho kabhi to kabhi ru-baru bhi ho
zamin hai 'afiyat ki rawish e'tidal ki
chashm-e-karam ke sath surahi bhi jhuk gai
taqdir dam-zadan mein badal di sifal ki
ye mehr-o-mah husn-o-nazar aur rang-o-bu
'aks-afriniyan hain kisi ke jamal ki
har ro'b-e-husn dab-e-mohabbat mizaj-e-‘ishq
rakhta hai sar-basar koi KHubi kamal ki
ba-wasf-e-shart-e-bandagi banda-nawaz ne
aaqai baKHsh di hai 'amal ki KHayal ki
us be-KHudi ka said hua hai sukun-nasib
maKHfi hai jo nazar se zawal-o-kamal ki
sar is liye na uTh saka sajde se aaj tak
'izzat 'aziz hai ‘araq-e-infi’al ki
zahid KHuda ki di hui ne'mat ka rang dekh
is se tamiz hogi haram-o-halal ki
nam-e-KHuda ko rakhta hai dil is liye 'aziz
aazad hai ye qaid se har ehtimal ki
gumnamiyon mein 'shad' raha tum sa be-nawa
ustad laj rah gai dast-e-sawal ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.