gumrahi se yun kamal-e-agahi tak aa gae
gumrahī se yuuñ kamāl-e-āgahī tak aa ga.e
ham bahut bhaTke magar terī galī tak aa ga.e
in charāġhoñ ko batā do niiñd se jāgeñ zarā
baḌhte baḌhte ab añdhere raushnī tak aa ga.e
zor se hañsne lage phir umr ke sab māh-o-sāl
ham ne ye pūchhā thā kyā ham zindagī tak aa ga.e
jo kahā maiñ ne vahāñ tak koī bhī pahuñchā nahīñ
an-sunī karte hue sab an-kahī tak aa ga.e
zindagī ke har qadam par ik nayā bikhrāv hai
ham baḌī tartīb se be-rah-ravī tak aa ga.e
ik na.e mafhūm se tahrīr karnā hai unheñ
bahte bahte ab mire aañsū ḳhushī tak aa ga.e
har amal kā lāzmī hotā hai ik radd-e-amal
ab fareb us ke mirī sāda-dilī tak aa ga.e
ḳhatm hotī hī nahīñ 'ḳhālid' ujāloñ kī talāsh
dhuup se hote hue ham chāñdnī tak aa ga.e
gumrahi se yun kamal-e-agahi tak aa gae
hum bahut bhaTke magar teri gali tak aa gae
in charaghon ko bata do nind se jagen zara
baDhte baDhte ab andhere raushni tak aa gae
zor se hansne lage phir umr ke sab mah-o-sal
hum ne ye puchha tha kya hum zindagi tak aa gae
jo kaha main ne wahan tak koi bhi pahuncha nahin
an-suni karte hue sab an-kahi tak aa gae
zindagi ke har qadam par ek naya bikhraw hai
hum baDi tartib se be-rah-rawi tak aa gae
ek nae mafhum se tahrir karna hai unhen
bahte bahte ab mere aansu KHushi tak aa gae
har amal ka lazmi hota hai ek radd-e-amal
ab fareb us ke meri sada-dili tak aa gae
KHatm hoti hi nahin 'KHalid' ujalon ki talash
dhup se hote hue hum chandni tak aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.