gumrahon ka ham-safar rahna bhi achchhi baat hai
gumrahoñ kā ham-safar rahnā bhī achchhī baat hai
rāste se be-ḳhabar rahnā bhī achchhī baat hai
kuchh na kuchh nā-puḳhtagī bhī aadmī kā husn hai
kuchh na kuchh nā-mo'tabar rahnā bhī achchhī baat hai
jis meñ sab be-ḳhānumāñ rahte hoñ aise shahr meñ
ghar kā be-dīvār-o-dar rahnā bhī achchhī baat hai
aur bhī kuchh din guzar jaate vahāñ to ḳhuub thā
us galī meñ varna mar rahnā bhī achchhī baat hai
jangaloñ meñ zard patjhaḌ kā safar hai zindagī
is safar kā muḳhtasar rahnā bhī achchhī baat hai
ik na ik ḳhvāhish kī chingārī sulagtī rakh 'zamīr'
kuchh phaloñ kā shāḳh par rahnā bhī achchhī baat hai
gumrahon ka ham-safar rahna bhi achchhi baat hai
raste se be-KHabar rahna bhi achchhi baat hai
kuchh na kuchh na-puKHtagi bhi aadmi ka husn hai
kuchh na kuchh na-mo'tabar rahna bhi achchhi baat hai
jis mein sab be-KHanuman rahte hon aise shahr mein
ghar ka be-diwar-o-dar rahna bhi achchhi baat hai
aur bhi kuchh din guzar jate wahan to KHub tha
us gali mein warna mar rahna bhi achchhi baat hai
jangalon mein zard patjhaD ka safar hai zindagi
is safar ka muKHtasar rahna bhi achchhi baat hai
ek na ek KHwahish ki chingari sulagti rakh 'zamir'
kuchh phalon ka shaKH par rahna bhi achchhi baat hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 94)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.