ghuncha chaTka na koi phul khila mere baad
ghuncha chaTka na koi phul khila mere baad
Mukhtar Ashiqi Jaunpuri
MORE BYMukhtar Ashiqi Jaunpuri
ġhuncha chaTkā na koī phuul khilā mere baad
maiñ chalā to na chalī bād-e-sabā mere baad
zulm ke hāthoñ mire shahr se aane vaalo
aur kis kis kā vahāñ ḳhuun huā mere baad
hausla chāhiye gulshan kī nigahbānī kā
jāñ-nashīñ kaun mirā hogā bhalā mere baad
ye mirā ḳhūn-e-jigar hai ye mirā ḳhūn-e-jigar
husn ho jaa.e na muhtāj-e-hinā mere baad
dushmanī thī to faqat mere nasheman se thī
phir na aayā kabhī tūfān-e-balā mere baad
koī kahtā hai ye chupke se jagā kar mujh ko
kis ne duniyā meñ kiyā sajda adā mere baad
kaise kaise zarā maiñ bhī to sunūñ haañ kahiye
aap ko kaun vafādār milā mere baad
raah dushvār to manzil hai bahut duur abhī
kaash mil jaa.e koī rāh-numā mere baad
muskurātī jo kalī ḳhaar mahakte 'muḳhtār'
bāġhbāñ aisā chaman meñ na huā mere baad
ghuncha chaTka na koi phul khila mere baad
main chala to na chali baad-e-saba mere baad
zulm ke hathon mere shahr se aane walo
aur kis kis ka wahan KHun hua mere baad
hausla chahiye gulshan ki nigahbani ka
jaan-nashin kaun mera hoga bhala mere baad
ye mera KHun-e-jigar hai ye mera KHun-e-jigar
husn ho jae na muhtaj-e-hina mere baad
dushmani thi to faqat mere nasheman se thi
phir na aaya kabhi tufan-e-bala mere baad
koi kahta hai ye chupke se jaga kar mujh ko
kis ne duniya mein kiya sajda ada mere baad
kaise kaise zara main bhi to sunun han kahiye
aap ko kaun wafadar mila mere baad
rah dushwar to manzil hai bahut dur abhi
kash mil jae koi rah-numa mere baad
muskuraati jo kali KHar mahakte 'muKHtar'
baghban aisa chaman mein na hua mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.