ghuncha-e-shauq muskuraya hai
ġhuncha-e-shauq muskurāyā hai
aaj kis kā ḳhayāl aaya hai
merā husn-e-yaqīñ ma.āz-allāh
maiñ ne but ko ḳhudā banāyā hai
ik tabassum hayāt-e-ġhuncha sahī
ik tabassum bhī kis ne paayā hai
haa.e vo kaif-e-intizār jise
terī yādoñ ne gudgudāyā hai
jis ko abr-e-bahār kahte haiñ
vo tire gesuoñ kā saayā hai
tere qurbān dūrī-e-manzil
tū ne zauq-e-safar baḌhāyā hai
us kā maqrūz hai ḳhudā-e-karīm
jis ne muflis pe rahm khāyā hai
vaqt kī tez-gāmiyāñ tauba
ham se aage hamārā saayā hai
sub.h-dam dekh kar guloñ ko 'bahār'
der tak koī yaad aaya hai
ghuncha-e-shauq muskuraya hai
aaj kis ka KHayal aaya hai
mera husn-e-yaqin maaz-allah
main ne but ko KHuda banaya hai
ek tabassum hayat-e-ghuncha sahi
ek tabassum bhi kis ne paya hai
hae wo kaif-e-intizar jise
teri yaadon ne gudgudaya hai
jis ko abr-e-bahaar kahte hain
wo tere gesuon ka saya hai
tere qurban duri-e-manzil
tu ne zauq-e-safar baDhaya hai
us ka maqruz hai KHuda-e-karim
jis ne muflis pe rahm khaya hai
waqt ki tez-gamiyan tauba
hum se aage hamara saya hai
subh-dam dekh kar gulon ko 'bahaar'
der tak koi yaad aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.