ghuncha-o-gul ko sukha sukha main bhi dekhun tu bhi dekh
ġhuncha-o-gul ko sūkhā sūkhā maiñ bhī dekhūñ tū bhī dekh
nazm-e-gulistāñ badlā badlā maiñ bhī dekhūñ tū bhī dekh
kaun hai kitne paanī meñ ye raaz abhī khul jā.egā
ghar se nikal kar tanhā tanhā maiñ bhī dekhūñ tū bhī dekh
bikhrī huī har samt chaman meñ kis ke badan kī ḳhushbū hai
gosha gosha mahkā mahkā maiñ bhī dekhūñ tū bhī dekh
nazr-e-talātum ho ga.ī shāyad kashtī-e-dil ye kahtī hai
josh-e-talātum ThanDā ThanDā maiñ bhī dekhūñ tū bhī dekh
baam pe apne jalva-fagan haiñ be-parda vo shāyad aaj
chāñd ko 'qāsid' phīkā phīkā maiñ bhī dekhūñ tū bhī dekh
ghuncha-o-gul ko sukha sukha main bhi dekhun tu bhi dekh
nazm-e-gulistan badla badla main bhi dekhun tu bhi dekh
kaun hai kitne pani mein ye raaz abhi khul jaega
ghar se nikal kar tanha tanha main bhi dekhun tu bhi dekh
bikhri hui har samt chaman mein kis ke badan ki KHushbu hai
gosha gosha mahka mahka main bhi dekhun tu bhi dekh
nazr-e-talatum ho gai shayad kashti-e-dil ye kahti hai
josh-e-talatum ThanDa ThanDa main bhi dekhun tu bhi dekh
baam pe apne jalwa-fagan hain be-parda wo shayad aaj
chand ko 'qasid' phika phika main bhi dekhun tu bhi dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.