ghuncha-o-gul mein tazgi na rahi
ġhuncha-o-gul meñ tāzgī na rahī
ab bahāroñ meñ dilkashī na rahī
ab to qindīl-e-dil karo raushan
bazm-e-hastī meñ raushnī na rahī
jo bhī karnā hai aaj hī kar le
kal ye duniyā rahī rahī na rahī
vo gale mil ke kyā hue ruḳhsat
zindagī jān-e-zindagī na rahī
kar rahe haiñ vo ehtimām-e-ġham
ab to merī ḳhushī ḳhushī na rahī
mai-kada ho gayā tah-o-bālā
koī shai mere kaam kī na rahī
saarā mai-ḳhāna kashmakash meñ hai
tarz-e-'maikash' meñ dilkashī na rahī
ghuncha-o-gul mein tazgi na rahi
ab bahaaron mein dilkashi na rahi
ab to qindil-e-dil karo raushan
bazm-e-hasti mein raushni na rahi
jo bhi karna hai aaj hi kar le
kal ye duniya rahi rahi na rahi
wo gale mil ke kya hue ruKHsat
zindagi jaan-e-zindagi na rahi
kar rahe hain wo ehtimam-e-gham
ab to meri KHushi KHushi na rahi
mai-kada ho gaya tah-o-baala
koi shai mere kaam ki na rahi
sara mai-KHana kashmakash mein hai
tarz-e-'maikash' mein dilkashi na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.