ghunchon ne dahan khole kaliyon ne li angDai
ġhunchoñ ne dahan khole kaliyoñ ne lī añgḌā.ī
yuuñ sehn-e-gulistāñ meñ chupke se bahār aa.ī
duniyā use kahtī hai phir kis liye saudā.ī
jo ḳhud hī ho dīvāna aur ḳhud hī tamāshā.ī
kyūñkar na karūñ ai dil us ġham kī pazīrā.ī
ġhurbat meñ yahī to hai ik monis-e-tanhā.ī
kahte na the ik din vo mā.il-ba-karam hoñge
ye zabt kī aadat hī āḳhir mire kaam aa.ī
har gaam rukāvaT hai haa.il rah-e-manzil meñ
hotī hai musāfir kī yuuñ hausla-afzā.ī
kyūñ-kar na zamāne kī āñkhoñ se chhapā.ūñ maiñ
har chiiz se pyārī hai mujh ko mirī tanhā.ī
'hasrat' rah-e-ulfat meñ āḳhir vo maqām aaya
lene ke liye mujh ko manzil mire paas aa.ī
ghunchon ne dahan khole kaliyon ne li angDai
yun sehn-e-gulistan mein chupke se bahaar aai
duniya use kahti hai phir kis liye saudai
jo KHud hi ho diwana aur KHud hi tamashai
kyunkar na karun ai dil us gham ki pazirai
ghurbat mein yahi to hai ek monis-e-tanhai
kahte na the ek din wo mail-ba-karam honge
ye zabt ki aadat hi aaKHir mere kaam aai
har gam rukawaT hai hail rah-e-manzil mein
hoti hai musafir ki yun hausla-afzai
kyun-kar na zamane ki aankhon se chhapaun main
har chiz se pyari hai mujh ko meri tanhai
'hasrat' rah-e-ulfat mein aaKHir wo maqam aaya
lene ke liye mujh ko manzil mere pas aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.