gunud-e-alam-e-imkan mein kahan ho jaun
gunūd-e-ālam-e-imkān meñ kahāñ ho jā.ūñ
jahāñ se hukm milā hai miyāñ vahāñ ho jā.ūñ
mire vajūd ko tartīb se rakhā huā hai
maiñ is libās se niklūñ to rā.egāñ ho jā.ūñ
shikasta-ḳhvāb kī dīvār par rakhā huā tū
agar charāġh samajh lo to bad-gumāñ ho jā.ūñ
sukūt ek taraf shor ik taraf rakh ke
lakīr khīñch ke donoñ ke darmiyāñ ho jā.ūñ
agar ḳhudā ne mujhe iḳhtiyār sauñp diyā
zamīn ḳhud pe lapeTūñ aur āsmāñ ho jā.ūñ
tamām raushnī sāñche meñ qaid karte vaqt
maiñ itnā tez sā chamkūñ ki sham.a-dāñ ho jā.ūñ
ajab junūn ne safhe pe aa liyā hai mujhe
fasāna likhte hue ḳhud kahāniyāñ ho jā.ūñ
ham ek saath jaleñ aag meñ magar yuuñ ho
ki tum to vaise raho aur maiñ dhuāñ ho jā.ūñ
maiñ vaise sher huuñ vo bhī daqīq lafzoñ kā
kyā tere vāste sāda-bayāniyāñ ho jā.ūñ
gunud-e-alam-e-imkan mein kahan ho jaun
jahan se hukm mila hai miyan wahan ho jaun
mere wajud ko tartib se rakha hua hai
main is libas se niklun to raegan ho jaun
shikasta-KHwab ki diwar par rakha hua tu
agar charagh samajh lo to bad-guman ho jaun
sukut ek taraf shor ek taraf rakh ke
lakir khinch ke donon ke darmiyan ho jaun
agar KHuda ne mujhe iKHtiyar saunp diya
zamin KHud pe lapeTun aur aasman ho jaun
tamam raushni sanche mein qaid karte waqt
main itna tez sa chamkun ki shama-dan ho jaun
ajab junun ne safhe pe aa liya hai mujhe
fasana likhte hue KHud kahaniyan ho jaun
hum ek sath jalen aag mein magar yun ho
ki tum to waise raho aur main dhuan ho jaun
main waise sher hun wo bhi daqiq lafzon ka
kya tere waste sada-bayaniyan ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.