ghurbat ko dafnana bhi aasan nahin
ġhurbat ko dafnānā bhī āsān nahīñ
shahr meñ koī sastā qabristān nahīñ
rah rah ke in patthar kī dīvāroñ meñ
ham bhī jaise patthar haiñ insān nahīñ
phir āñkhoñ meñ jal-thal sāvan bhādoñ sī
aur kahīñ bhī bārish kā imkān nahīñ
masḳh kiyā hai vaqt ne ik ik manzar ko
jaise ham ko rangoñ kī pahchān nahīñ
vaqt munāsib ḳhud se jaan chhuḌāne kā
lekin apne hāthoñ meñ hī jaan nahīñ
kyoñ dete ho dastak dil darvāze par
apnā ghar hai tum koī mehmān nahīñ
apnā nafā dekh ke bhī ye sochtā huuñ
is meñ aur kisī kā to nuqsān nahīñ
lutf huā phir ġhārat kashtī-rānī kā
aaj bhī dariyā meñ koī tūfān nahīñ
raunaq ḳhuub hai peḌoñ aur parindoñ kī
jangal be-shak jangal hai sunsān nahīñ
bilā-ijāzat jab chāho aa sakte ho
is darvāze par koī darbān nahīñ
ghurbat ko dafnana bhi aasan nahin
shahr mein koi sasta qabristan nahin
rah rah ke in patthar ki diwaron mein
hum bhi jaise patthar hain insan nahin
phir aankhon mein jal-thal sawan bhadon si
aur kahin bhi barish ka imkan nahin
masKH kiya hai waqt ne ek ek manzar ko
jaise hum ko rangon ki pahchan nahin
waqt munasib KHud se jaan chhuDane ka
lekin apne hathon mein hi jaan nahin
kyon dete ho dastak dil darwaze par
apna ghar hai tum koi mehman nahin
apna nafa dekh ke bhi ye sochta hun
is mein aur kisi ka to nuqsan nahin
lutf hua phir ghaarat kashti-rani ka
aaj bhi dariya mein koi tufan nahin
raunaq KHub hai peDon aur parindon ki
jangal be-shak jangal hai sunsan nahin
bila-ijazat jab chaho aa sakte ho
is darwaze par koi darban nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.