gurez humse kiya tha faqat ana ke liye
gurez ham se kiyā thā faqat anā ke liye
judā hue haiñ to tarsā kiye vafā ke liye
sahāb-e-lutf-o-ināyāt jis ghaḌī barsā
hamāre sar pe rahā sā.ebāñ sazā ke liye
badan darīda rahe be-niyāz-e-tār-o-rafū
ye ehtimām munāsib the bas qabā ke liye
jo haath sañg uThā.e hue hī uThte haiñ
duā karo vo uTheñ haath ab duā ke liye
ta.alluqāt ke yuuñ TūTne se dam na ghuTe
darīcha koī to rakho khulā havā ke liye
adāvatoñ ke panapne se kuchh nahīñ hāsil
mohabbatoñ ko jagah dil meñ do ḳhudā ke liye
gurez hum se kiya tha faqat ana ke liye
juda hue hain to tarsa kiye wafa ke liye
sahab-e-lutf-o-inayat jis ghaDi barsa
hamare sar pe raha saeban saza ke liye
badan darida rahe be-niyaz-e-tar-o-rafu
ye ehtimam munasib the bas qaba ke liye
jo hath sang uThae hue hi uThte hain
dua karo wo uThen hath ab dua ke liye
talluqat ke yun TuTne se dam na ghuTe
daricha koi to rakho khula hawa ke liye
adawaton ke panapne se kuchh nahin hasil
mohabbaton ko jagah dil mein do KHuda ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.