ghurub-e-shab ki azan se tulua hota hai
ghurub-e-shab ki azan se tulua hota hai
Syed Qamar Haider Qamar
MORE BYSyed Qamar Haider Qamar
ġhurūb-e-shab ki azaañ se tulūa hotā hai
ye āftāb kahāñ se tulūa hotā hai
javāz ujāle kā be-tīrgī nahīñ mumkin
yaqīñ kā chāñd gumāñ se tulūa hotā hai
ye mauj mauj meñ haiñ sarsarāhaTeñ kaisī
ye kaun āb-e-ravāñ se tulūa hotā hai
vo sang-tan pe ugātā hai nit-na.e sūraj
jo dast-e-shīsha-garāñ se tulūa hotā hai
vo jis kā zaḳhm giraft-e-nazar meñ aa na sake
kahīñ vo tiir kamāñ se tulūa hotā hai
vo hai kashākash-e-duniyā kā āḳhirī nuqta
hamārā sabr jahāñ se tulūa hotā hai
nazākat us kī uThātī hai bār-e-harf kahīñ
kahīñ vo zor-e-bayāñ se tulūa hotā hai
ghurub-e-shab ki azan se tulua hota hai
ye aaftab kahan se tulua hota hai
jawaz ujale ka be-tirgi nahin mumkin
yaqin ka chand guman se tulua hota hai
ye mauj mauj mein hain sarsarahaTen kaisi
ye kaun aab-e-rawan se tulua hota hai
wo sang-tan pe ugata hai nit-nae suraj
jo dast-e-shisha-garan se tulua hota hai
wo jis ka zaKHm giraft-e-nazar mein aa na sake
kahin wo tir kaman se tulua hota hai
wo hai kashakash-e-duniya ka aaKHiri nuqta
hamara sabr jahan se tulua hota hai
nazakat us ki uThati hai bar-e-harf kahin
kahin wo zor-e-bayan se tulua hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.