ghurur-e-husn ko aks-e-niyaz-e-ashiqi samjhe
ġhurūr-e-husn ko aks-e-niyāz-e-āshiqī samjhe
zahe ġhaflat ki ham ġhaflat ko terī āgahī samjhe
hamārī baat ko jo aap samjhe ham vahī samjhe
magar is āshiqāna maslahat ko aap bhī samjhe
taraqqī-yāfta sūrat jahālat kī hai ilm apnā
jo kuchh samjhe vahī dekhā jo kuchh dekhā vahī samjhe
kuchh is andāz se paidā huā ulfat kā ġham dil meñ
ki ġham hī is ko kah sakte the lekin ham ḳhushī samjhe
unheñ jab rahm aatā hai to mujh par zulm karte haiñ
na samjhā koī fitrat āshiqī kī ik vahī samjhe
hayā-āgīñ sukūt-e-nāz thā iz.hār-e-ulfat par
magar majbūr thī ulfat ki us ko nā-ḳhushī samjhe
qadam ik aur aage rakh maqām-e-hosh sajde se
ḳhudā.ī kī vo ḳhvāhish hai jise sab bandagī samjhe
na samjhā hai na samjhegā zamāna mujh ko ai 'maikash'
kiyā hai jis ne dīvāna jo samjhe to vahī samjhe
ghurur-e-husn ko aks-e-niyaz-e-ashiqi samjhe
zahe ghaflat ki hum ghaflat ko teri aagahi samjhe
hamari baat ko jo aap samjhe hum wahi samjhe
magar is aashiqana maslahat ko aap bhi samjhe
taraqqi-yafta surat jahaalat ki hai ilm apna
jo kuchh samjhe wahi dekha jo kuchh dekha wahi samjhe
kuchh is andaz se paida hua ulfat ka gham dil mein
ki gham hi is ko kah sakte the lekin hum KHushi samjhe
unhen jab rahm aata hai to mujh par zulm karte hain
na samjha koi fitrat aashiqi ki ek wahi samjhe
haya-agin sukut-e-naz tha izhaar-e-ulfat par
magar majbur thi ulfat ki us ko na-KHushi samjhe
qadam ek aur aage rakh maqam-e-hosh sajde se
KHudai ki wo KHwahish hai jise sab bandagi samjhe
na samjha hai na samjhega zamana mujh ko ai 'maikash'
kiya hai jis ne diwana jo samjhe to wahi samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.