ghurur-e-zat kahin naqd-e-jaan mein chhoD aae
ghurur-e-zat kahin naqd-e-jaan mein chhoD aae
Ahmad Musharraf Khawar
MORE BYAhmad Musharraf Khawar
ġhurūr-e-zāt kahīñ naqd-e-jāñ meñ chhoḌ aa.e
vo aag phir usī ātish-fishāñ meñ chhoḌ aa.e
azāb-e-hijr se tere visāl-lamhoñ tak
ham apnī zaat kahīñ darmiyāñ meñ chhoḌ aa.e
tamām umr phir us kī talāsh meñ bhaTke
vo ik sukūn jo kachche makāñ meñ chhoḌ aa.e
na raas aayā use merī zaat kā Thahrāv
to ḳhud ko is liye barq-e-tapāñ meñ chhoḌ aa.e
churā ke vaqt se apne azaab ke lamhe
ba-shakl-e-sañg yad-e-mehrbāñ meñ chhoḌ aa.e
huā na yuuñ kabhī ehsās-e-shiddat-e-hijrāñ
badan kī dhuup tire jism-o-jāñ meñ chhoḌ aa.e
tirī nigāh kare ab madār kī ta.a.īn
sitāra apnā tirī kahkashāñ meñ chhoḌ aa.e
guzartā hai kaf-e-saffāk se yā phir sar se
ma.āl-e-gul to yad-e-bāġhbāñ meñ chhoḌ aa.e
vahīñ thī darj hikāyāt-e-nā-sabūrī-e-dil
vo ek moḌ jo tum dāstāñ meñ chhoḌ aa.e
ghurur-e-zat kahin naqd-e-jaan mein chhoD aae
wo aag phir usi aatish-fishan mein chhoD aae
azab-e-hijr se tere visal-lamhon tak
hum apni zat kahin darmiyan mein chhoD aae
tamam umr phir us ki talash mein bhaTke
wo ek sukun jo kachche makan mein chhoD aae
na ras aaya use meri zat ka Thahraw
to KHud ko is liye barq-e-tapan mein chhoD aae
chura ke waqt se apne azab ke lamhe
ba-shakl-e-sang yad-e-mehrban mein chhoD aae
hua na yun kabhi ehsas-e-shiddat-e-hijran
badan ki dhup tere jism-o-jaan mein chhoD aae
teri nigah kare ab madar ki tain
sitara apna teri kahkashan mein chhoD aae
guzarta hai kaf-e-saffak se ya phir sar se
maal-e-gul to yad-e-baghban mein chhoD aae
wahin thi darj hikayat-e-na-saburi-e-dil
wo ek moD jo tum dastan mein chhoD aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.