ghurur naz ada tamkanat-shiari sab
ġhurūr naaz adā tamkanat-shi.ārī sab
mujhe to yaad hai ik ik adā tumhārī sab
bas ek phāñs khaTaktī hai aaj bhī dil meñ
agarche bhar ga.e jitne the zaḳhm-e-kārī sab
ab is khañDar se nayā ik makān ubhregā
ki dafn ho ga.ī malba meñ āh-o-zārī sab
tamāshā aisā dikhā kar chalā gayā koī
ki haath malte rahe der tak madārī sab
hamāre haath se takmīl-e-fan na ho jab tak
vo kaaT saktā nahīñ uñgliyāñ hamārī sab
maiñ jang haar na jaatā to aur kyā kartā
ki thī sipāh mirī hausloñ se aarī sab
ye kis ne aa ke fazā meñ bikher dī ḳhushbū
ki bhuul baiThe dil-o-jāñ kī be-qarārī sab
'ziyā' ye dil kā taqāzā hai aise mausam meñ
maiñ us ko pesh karūñ ijz-o-inkisārī sab
ghurur naz ada tamkanat-shiari sab
mujhe to yaad hai ek ek ada tumhaari sab
bas ek phans khaTakti hai aaj bhi dil mein
agarche bhar gae jitne the zaKHm-e-kari sab
ab is khanDar se naya ek makan ubhrega
ki dafn ho gai malba mein aah-o-zari sab
tamasha aisa dikha kar chala gaya koi
ki hath malte rahe der tak madari sab
hamare hath se takmil-e-fan na ho jab tak
wo kaT sakta nahin ungliyan hamari sab
main jang haar na jata to aur kya karta
ki thi sipah meri hauslon se aari sab
ye kis ne aa ke faza mein bikher di KHushbu
ki bhul baiThe dil-o-jaan ki be-qarari sab
'ziya' ye dil ka taqaza hai aise mausam mein
main us ko pesh karun ijz-o-inkisari sab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.