gunj raha tha har pal har-su allah-hu haq allah-hu
guuñj rahā thā har pal har-sū allāh-hū haq allāh-hū
bāñdh liyā maiñ ne bhī ghuñgrū allāh-hū haq allāh-hū
haath uThā kar bhīñch liyā ākāsh ko apnī muTThī meñ
chāñd sitāre nikle jugnū allāh-hū haq allāh-hū
duniyā duniyā kis ko DhūñDe sun banjāre merī sun
jhāñk zarā ḳhud apnā pahlū allāh-hū haq allāh-hū
ik palḌe meñ jīvan rakh de duuje meñ rakh us kā naam
kyā bole phir dekh tarāzū allāh-hū haq allāh-hū
bāhar bāhar ek ḳhalā hai ḳhāmoshī sannāTā hai
chīḳh uThā andar kā sādhū allāh-hū haq allāh-hū
miTTī ke pinjre meñ baiThā terī or nihārūñ maiñ
TuuTe par haiñ zaḳhmī baazū allāh-hū haq allāh-hū
vo chāhe to dhuul chaTā.eñ panchhī hāthī vāloñ ko
hoge tum chañgez halākū allāh-hū haq allāh-hū
ḳhāk-ālūda kuchle bikhre phuul haiñ mere chāroñ or
phail rahī hai lekin ḳhushbū allāh-hū haq allāh-hū
pal-do-pal kā jhoñkā huuñ bas aur mirī auqāt hai kyā
uḌtī ḳhaak saraktā baalū allāh-hū haq allāh-hū
band āñkhoñ se dekh zarā mere ḳhālī kashkol meñ dekh
an-dekhe hāthoñ kā jaadū allāh-hū haq allāh-hū
gunj raha tha har pal har-su allah-hu haq allah-hu
bandh liya main ne bhi ghungru allah-hu haq allah-hu
hath uTha kar bhinch liya aakash ko apni muTThi mein
chand sitare nikle jugnu allah-hu haq allah-hu
duniya duniya kis ko DhunDe sun banjare meri sun
jhank zara KHud apna pahlu allah-hu haq allah-hu
ek palDe mein jiwan rakh de duje mein rakh us ka nam
kya bole phir dekh taraazu allah-hu haq allah-hu
bahar bahar ek KHala hai KHamoshi sannaTa hai
chiKH uTha andar ka sadhu allah-hu haq allah-hu
miTTi ke pinjre mein baiTha teri or nihaarun main
TuTe par hain zaKHmi bazu allah-hu haq allah-hu
wo chahe to dhul chaTaen panchhi hathi walon ko
hoge tum changez halaku allah-hu haq allah-hu
KHak-aluda kuchle bikhre phul hain mere chaaron or
phail rahi hai lekin KHushbu allah-hu haq allah-hu
pal-do-pal ka jhonka hun bas aur meri auqat hai kya
uDti KHak sarakta baalu allah-hu haq allah-hu
band aankhon se dekh zara mere KHali kashkol mein dekh
an-dekhe hathon ka jadu allah-hu haq allah-hu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.