gunjti hai ye kya sada mujh mein
gūñjtī hai ye kyā sadā mujh meñ
kho gayā kis kā rāsta mujh meñ
harf thā tere pyāse hoñToñ kā
ghul gayā jis kā zā.iqa mujh meñ
maiñ añdherā makān huuñ aa kar
tū koī taaq hī banā mujh meñ
apnī āñkheñ bhī mujh meñ chhoḌ gayā
jis ne dekhā thā aa.ina mujh meñ
jā chukā tere āsmānoñ ko
jo parinda thā uḌ rahā mujh meñ
gunjti hai ye kya sada mujh mein
kho gaya kis ka rasta mujh mein
harf tha tere pyase honTon ka
ghul gaya jis ka zaiqa mujh mein
main andhera makan hun aa kar
tu koi taq hi bana mujh mein
apni aankhen bhi mujh mein chhoD gaya
jis ne dekha tha aaina mujh mein
ja chuka tere aasmanon ko
jo parinda tha uD raha mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.