guzare hijr mein barson hi wasl-e-yar ke baad
guzare hijr mein barson hi wasl-e-yar ke baad
Nawab Umrao Bahadur Diler
MORE BYNawab Umrao Bahadur Diler
guzāre hijr meñ barsoñ hī vasl-e-yār ke baad
uThāyā jabr bahut ham ne iḳhtiyār ke baad
na dushmanoñ ke liye thī zamīn-e-kūcha-e-dost
banī na phir koī turbat mire mazār ke baad
kis āsare pe guzārūñ zamāna-e-furqat
ki nā-umīd huā huuñ ik intizār ke baad
ḳhizāñ ke baad ilāhī bahār phir dekheñ
ḳhizāñ to dekh chuke mausam-e-bahār ke baad
mire shabāb kī yaad aa rahī hai piirī meñ
ki qadr nashsha kī hotī hai kuchh ḳhumār ke baad
milā jo qais sā ham-rang dasht-e-vahshat meñ
huā sukūn tabī.at ko intishār ke baad
vo mashq-e-tīr thī un kī hamāre hī dil tak
milā na phir koī naḳhchīr us shikār ke baad
pas-e-fanā hai tabāhī kī ibtidā mujh se
bahut sī āñdhiyāñ uTTheñgī is ġhubār ke baad
ham un ke bas meñ haiñ qaabū meñ the jo apnī 'diler'
ye bebasī na kisī ko ho iḳhtiyār ke baad
guzare hijr mein barson hi wasl-e-yar ke baad
uThaya jabr bahut hum ne iKHtiyar ke baad
na dushmanon ke liye thi zamin-e-kucha-e-dost
bani na phir koi turbat mere mazar ke baad
kis aasare pe guzarun zamana-e-furqat
ki na-umid hua hun ek intizar ke baad
KHizan ke baad ilahi bahaar phir dekhen
KHizan to dekh chuke mausam-e-bahaar ke baad
mere shabab ki yaad aa rahi hai piri mein
ki qadr nashsha ki hoti hai kuchh KHumar ke baad
mila jo qais sa ham-rang dasht-e-wahshat mein
hua sukun tabiat ko intishaar ke baad
wo mashq-e-tir thi un ki hamare hi dil tak
mila na phir koi naKHchir us shikar ke baad
pas-e-fana hai tabahi ki ibtida mujh se
bahut si aandhiyan uTThengi is ghubar ke baad
hum un ke bas mein hain qabu mein the jo apni 'diler'
ye bebasi na kisi ko ho iKHtiyar ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.