guzar gaya mai-kade ka mausam guzar gaya hai subu ka mausam
guzar gaya mai-kade ka mausam guzar gaya hai subu ka mausam
Sultana Mehr
MORE BYSultana Mehr
guzar gayā mai-kade kā mausam guzar gayā hai subū kā mausam
vo ḳhalvatoñ kā gulāb-mausam vo aarzū kī numū kā mausam
abas hai ab ye tamannā un kī ki zaḳhm saare rafū kareñge
ye chāk-dāman sameT luuñ ab chalā gayā vo rafū kā mausam
ki naam terā kaḌhā ho jis pe usī chunariyā kī aarzū meñ
gañvā.ī bālī-umaryā apnī guzar gayā aarzū kā mausam
tujhe hī fursat na thī mayassar to apnā qissa kise sunāte
so tishna apnī rahī kahānī guzar gayā guftugū kā mausam
ḳhazāne ilm-o-hunar ke pyāre tumhāre apne vajūd meñ haiñ
tumheñ kahāñ justujū kī fursat nahīñ rahā justujū kā mausam
tumhāre purkhoñ kī is zamīñ ko na bād-o-bārāñ kī kuchh kamī thī
tumhāre sarf-e-nazar se lekin havā huā vo numū kā mausam
guzar gaya mai-kade ka mausam guzar gaya hai subu ka mausam
wo KHalwaton ka gulab-mausam wo aarzu ki numu ka mausam
abas hai ab ye tamanna un ki ki zaKHm sare rafu karenge
ye chaak-daman sameT lun ab chala gaya wo rafu ka mausam
ki nam tera kaDha ho jis pe usi chunariya ki aarzu mein
ganwai baali-umarya apni guzar gaya aarzu ka mausam
tujhe hi fursat na thi mayassar to apna qissa kise sunate
so tishna apni rahi kahani guzar gaya guftugu ka mausam
KHazane ilm-o-hunar ke pyare tumhaare apne wajud mein hain
tumhein kahan justuju ki fursat nahin raha justuju ka mausam
tumhaare purkhon ki is zamin ko na baad-o-baran ki kuchh kami thi
tumhaare sarf-e-nazar se lekin hawa hua wo numu ka mausam
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 100)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.