guzar ja rah-o-manzil se guzar ja mauj-o-sahil se
guzar jā rāh-o-manzil se guzar jā mauj-o-sāhil se
mohabbat ho to ye āsāniyāñ miltī haiñ mushkil se
muqābil ho gayā nādān un ke husn-e-kāmil se
hameñ ab tang aa kar haath uThānā hī paḌā dil se
dil un kī raah meñ hai phir bhī ġham jaatā nahīñ dil se
mohabbat kā musāfir be-ḳhabar hai apnī manzil se
tum ahl-e-dil nahīñ ho phir vafā kā lutf kyā jaano
vafā kī intihā dil par vafā kī ibtidā dil se
abhī to shauq kī rāhoñ meñ kho jaanā bhī mumkin hai
ki ye rāheñ abhī mahfūz haiñ ilzām-e-manzil se
ḳhalish aur vo bhī ġham kī dard aur vo bhī mohabbat kā
shikāyat karne vaalā thā duā niklī mire dil se
agar chāheñ to pahlā hī qadam manzil pe jā pahuñche
pareshāñ ho ga.e arbāb-e-himmat qurb-e-manzil se
abhī tak zindagī meñ iztirāb-e-ishq baaqī hai
abhī tak zindagī kī mauj ko nisbat hai sāhil se
mujhe rāh-e-talab kī azmateñ uThne nahīñ detīñ
jo uThtā huuñ to phir aage nikal jaatā huuñ manzil se
mohabbat ke hazāroñ rāste tai kar ke aa.e haiñ
tamannāoñ kī manzil tak tamannāoñ kī manzil se
Thahar ai mauj-e-shor-āgīñ-o-shor-añgez-o-shor-afzā
abhī ik baat kahnī hai mujhe yārān-e-sāhil se
zahe ilzām-e-nazzāra ḳhushā anjām-e-nazzāra
nazar se be-ta.alluq dil nazar nā-āshnā dil se
mohabbat ne badal Daalā nizām-e-zindagī 'shāhid'
na āsānī se dil taskīn paatā hai na mushkil se
guzar ja rah-o-manzil se guzar ja mauj-o-sahil se
mohabbat ho to ye aasaniyan milti hain mushkil se
muqabil ho gaya nadan un ke husn-e-kaamil se
hamein ab tang aa kar hath uThana hi paDa dil se
dil un ki rah mein hai phir bhi gham jata nahin dil se
mohabbat ka musafir be-KHabar hai apni manzil se
tum ahl-e-dil nahin ho phir wafa ka lutf kya jaano
wafa ki intiha dil par wafa ki ibtida dil se
abhi to shauq ki rahon mein kho jaana bhi mumkin hai
ki ye rahen abhi mahfuz hain ilzam-e-manzil se
KHalish aur wo bhi gham ki dard aur wo bhi mohabbat ka
shikayat karne wala tha dua nikli mere dil se
agar chahen to pahla hi qadam manzil pe ja pahunche
pareshan ho gae arbab-e-himmat qurb-e-manzil se
abhi tak zindagi mein iztirab-e-ishq baqi hai
abhi tak zindagi ki mauj ko nisbat hai sahil se
mujhe rah-e-talab ki azmaten uThne nahin detin
jo uThta hun to phir aage nikal jata hun manzil se
mohabbat ke hazaron raste tai kar ke aae hain
tamannaon ki manzil tak tamannaon ki manzil se
Thahar ai mauj-e-shor-agin-o-shor-angez-o-shor-afza
abhi ek baat kahni hai mujhe yaran-e-sahil se
zahe ilzam-e-nazzara KHusha anjam-e-nazzara
nazar se be-talluq dil nazar na-ashna dil se
mohabbat ne badal Dala nizam-e-zindagi 'shahid'
na aasani se dil taskin pata hai na mushkil se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.