guzar mera us ek tawiz par hai
guzar merā us ik ta.avīz par hai
tumhārā aks har har chiiz par hai
jise maiñ pheñk aaya thā galī meñ
vo duniyā phir mirī dahlīz par hai
qazā jo ishq purkhoñ se huā thā
vo kaffāra bhī mujh nāchīz par hai
kaTautī ho rahī hai lamha lamha
to kyā ye zindagānī lease par hai
tujhe mil kar yuuñ 'arshad' lag rahā hai
ye duniyā bhī tirī tajvīz par hai
guzar mera us ek tawiz par hai
tumhaara aks har har chiz par hai
jise main phenk aaya tha gali mein
wo duniya phir meri dahliz par hai
qaza jo ishq purkhon se hua tha
wo kaffara bhi mujh nachiz par hai
kaTauti ho rahi hai lamha lamha
to kya ye zindagani lease par hai
tujhe mil kar yun 'arshad' lag raha hai
ye duniya bhi teri tajwiz par hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.