guzar na jae samaat ke sard-KHanon se
guzar na jaa.e samā.at ke sard-ḳhānoñ se
ye bāzgasht jo chipkī huī hai kānoñ se
kharā nahīñ thā magar aisā rā.egāñ bhī na thā
vo sikka DhūñD ke ab lā.ūñ kin ḳhazānoñ se
ye chashm-e-abr kā paanī ye naḳhl-e-mehr ke paat
utar rahā hai mirā rizq āsmānoñ se
jo dar khule haiñ kabhī band kyuuñ nahīñ hote
ye pūchhtā hī kahāñ hai koī makānoñ se
utaar pheñkā badan se libās tak 'shāriq'
magar ye bojh ki haTtā nahīñ hai shānoñ se
guzar na jae samaat ke sard-KHanon se
ye bazgasht jo chipki hui hai kanon se
khara nahin tha magar aisa raegan bhi na tha
wo sikka DhunD ke ab laun kin KHazanon se
ye chashm-e-abr ka pani ye naKHl-e-mehr ke pat
utar raha hai mera rizq aasmanon se
jo dar khule hain kabhi band kyun nahin hote
ye puchhta hi kahan hai koi makanon se
utar phenka badan se libas tak 'shaariq'
magar ye bojh ki haTta nahin hai shanon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.