guzar nahin hai kisi ka to rasta kyon hai
guzar nahīñ hai kisī kā to rāsta kyoñ hai
jo rāsta hai to mahrūm-e-naqsh-e-pā kyoñ hai
har ek shaḳhs samajhtā hai ajnabī phir bhī
tumhāre ghar kā pata mujh se pūchhtā kyoñ hai
tumhārā shahr ujāloñ kā shahr sunte the
qadam qadam pe añdheroñ kā sāmnā kyoñ hai
vahī sahar hai vahī shab vahī hai hangāma
magar hayāt kā manzar udaas sā kyoñ hai
maiñ apne vaqt kī tasvīr ban gayā to nahīñ
har aadmī mujhe is tarah dekhtā kyoñ hai
nigāh jab tirī bīnā.ī kho chukī apnī
to zindagī tire hāthoñ meñ aa.ina kyoñ hai
kisī se mil ke bichhaḌ jaanā umr bhar ko 'nasīb'
zarā sī bhuul kī itnī baḌī sazā kyoñ hai
guzar nahin hai kisi ka to rasta kyon hai
jo rasta hai to mahrum-e-naqsh-e-pa kyon hai
har ek shaKHs samajhta hai ajnabi phir bhi
tumhaare ghar ka pata mujh se puchhta kyon hai
tumhaara shahr ujalon ka shahr sunte the
qadam qadam pe andheron ka samna kyon hai
wahi sahar hai wahi shab wahi hai hangama
magar hayat ka manzar udas sa kyon hai
main apne waqt ki taswir ban gaya to nahin
har aadmi mujhe is tarah dekhta kyon hai
nigah jab teri binai kho chuki apni
to zindagi tere hathon mein aaina kyon hai
kisi se mil ke bichhaD jaana umr bhar ko 'nasib'
zara si bhul ki itni baDi saza kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.