guzar rahi hai jo dil par zara kisi se kaho
guzar rahī hai jo dil par zarā kisī se kaho
kise hai taab sune tum bhalā kisī se kaho
ġham-e-jahāñ ho to kah kar kisī se halkā ho
na ho jahān kā ġham hī to kyā kisī se kaho
kabhī bhar aa.e yūñhī dil to kyā kare koī
chalo durust barā.e-ḳhudā kisī se kaho
shikast-e-ḳhvāb kā sadma kisī ne samjhā hai
rahā na ḳhvāb rahā bhī to kyā kisī se kaho
nafas nafas se lahū chūstī hai tanhā.ī
ye karb dard-o-alam ibtilā kisī se kaho
ye bojh dil pe liye phir rahe ho kab se miyāñ
chalo haTāo huā jo huā kisī se kaho
havā ke saath badalnā to kuchh nahīñ 'rizvāñ'
kabhī jo pherī ho tum ne havā kisī se kaho
guzar rahi hai jo dil par zara kisi se kaho
kise hai tab sune tum bhala kisi se kaho
gham-e-jahan ho to kah kar kisi se halka ho
na ho jahan ka gham hi to kya kisi se kaho
kabhi bhar aae yunhi dil to kya kare koi
chalo durust barae-KHuda kisi se kaho
shikast-e-KHwab ka sadma kisi ne samjha hai
raha na KHwab raha bhi to kya kisi se kaho
nafas nafas se lahu chusti hai tanhai
ye karb dard-o-alam ibtila kisi se kaho
ye bojh dil pe liye phir rahe ho kab se miyan
chalo haTao hua jo hua kisi se kaho
hawa ke sath badalna to kuchh nahin 'rizwan'
kabhi jo pheri ho tum ne hawa kisi se kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.