guzarne ko to shaariq apni har aalam mein guzri hai
guzarne ko to 'shāriq' apnī har aalam meñ guzrī hai
vahī hai zindagī lekin jo un ke ġham meñ guzrī hai
vo uftād-e-ḳhizāñ ho yā bahāroñ kī junūñ-ḳhezī
qayāmat hai pe sach pūchho to har mausam meñ guzrī hai
vo koī aur hoñge ḳhvāhish-e-amn-o-sukūñ vaale
yahāñ to umr saarī kāvish-e-paiham meñ guzrī hai
na pūchh ai ham-nashīñ kyā sānahe guzre mohabbat meñ
use kuchh dil samajhtā hai ki jis aalam meñ guzrī hai
mujhe jaise do-ālam mil ga.e jab mil ga.ī 'shāriq'
vo ik saa.at mohabbat kī jo us ke ġham meñ guzrī hai
guzarne ko to 'shaariq' apni har aalam mein guzri hai
wahi hai zindagi lekin jo un ke gham mein guzri hai
wo uftad-e-KHizan ho ya bahaaron ki junun-KHezi
qayamat hai pe sach puchho to har mausam mein guzri hai
wo koi aur honge KHwahish-e-amn-o-sukun wale
yahan to umr sari kawish-e-paiham mein guzri hai
na puchh ai ham-nashin kya sanahe guzre mohabbat mein
use kuchh dil samajhta hai ki jis aalam mein guzri hai
mujhe jaise do-alam mil gae jab mil gai 'shaariq'
wo ek saat mohabbat ki jo us ke gham mein guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.