guzarte lamhon ke dil mein kya hai hamein pata hai
guzarte lamhoñ ke dil meñ kyā hai hameñ pata hai
havā ke āñchal pe kyā likhā hai hameñ pata hai
sulag rahī hai kahāñ pe chingārī nafratoñ kī
dhuāñ kahāñ se ye uTh rahā hai hameñ pata hai
safīna kis tarah paar utāreñ ye ham se pūchho
samundaroñ kā mizāj kyā hai hameñ pata hai
kahāñ kahāñ hādse chhupe haiñ ḳhabar hai ham ko
kahāñ se manzil kā rāsta hai hameñ pata hai
jo 'umr bhar zulm se laḌā sindbād ban kar
use zamāne ne kyā diyā hai hameñ pata hai
jo de rahā hai duhā.ī mā'sūmiyat kī apnī
vahī to sāzish kā sarġhana hai hameñ pata hai
ḳhizāñ ne gulshan se jaate jaate ḳhumār-sāhab
sabā ke kānoñ meñ kyā kahā hai hameñ pata hai
guzarte lamhon ke dil mein kya hai hamein pata hai
hawa ke aanchal pe kya likha hai hamein pata hai
sulag rahi hai kahan pe chingari nafraton ki
dhuan kahan se ye uTh raha hai hamein pata hai
safina kis tarah par utaren ye hum se puchho
samundaron ka mizaj kya hai hamein pata hai
kahan kahan hadse chhupe hain KHabar hai hum ko
kahan se manzil ka rasta hai hamein pata hai
jo 'umr bhar zulm se laDa sindbaad ban kar
use zamane ne kya diya hai hamein pata hai
jo de raha hai duhai ma'sumiyat ki apni
wahi to sazish ka sarghana hai hamein pata hai
KHizan ne gulshan se jate jate KHumar-sahab
saba ke kanon mein kya kaha hai hamein pata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.