guzashta shab mere hamrah tha mera main bhi
guzashta shab mire hamrāh thā mirā maiñ bhī
jabhī to maiñ ne tirī baat sun ke haañ kar dī
bujhā ke taaq pe rakh dī hai aql-e-mahz kī lau
yaqīñ kī varna mire dil meñ bhī kamī hotī
baras rahā thā zamīñ par lahū lahū taaza
nigah nigah meñ samāne lagī thī zarḳhezī
yahī vo naqsh hai jis par thā e.atibār hameñ
yahī vo rang hai jis meñ hamārī saañs ghulī
sunā ki chāñd na utregā dil ke āñgan meñ
shajar shajar pe hai raqsāñ ġhazab kī tārīkī
gudāz socheñ mahakne lagī thiiñ āḳhir-e-shab
ye kis ne merī nigāhoñ ko tāzgī baḳhshī
maiñ khiḌkiyoñ kī darāḌoñ se jhāñk letā huuñ
jo lamha lamha ubhartī hai chīḳh saḌkoñ kī
ragoñ meñ gūñjtī phirtī hai aaj tak 'sājid'
jo tere lams-e-mo.attar ne kī thī sargoshī
guzashta shab mere hamrah tha mera main bhi
jabhi to main ne teri baat sun ke han kar di
bujha ke taq pe rakh di hai aql-e-mahz ki lau
yaqin ki warna mere dil mein bhi kami hoti
baras raha tha zamin par lahu lahu taza
nigah nigah mein samane lagi thi zarKHezi
yahi wo naqsh hai jis par tha eatibar hamein
yahi wo rang hai jis mein hamari sans ghuli
suna ki chand na utrega dil ke aangan mein
shajar shajar pe hai raqsan ghazab ki tariki
gudaz sochen mahakne lagi thin aaKHir-e-shab
ye kis ne meri nigahon ko tazgi baKHshi
main khiDkiyon ki daraDon se jhank leta hun
jo lamha lamha ubharti hai chiKH saDkon ki
ragon mein gunjti phirti hai aaj tak 'sajid'
jo tere lams-e-moattar ne ki thi sargoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.