guzishta kuchh dinon se bekali hai
guzishta kuchh dinoñ se bekalī hai
kisī kī yaad ne hālat ye kī hai
jise sajde salāmī de rahe haiñ
tirā sajda husain ibn-e-'alī hai
rasūl-e-do-sarā farmā rahe haiñ
ḳhadīja sī na koī dūsrī hai
kahānī-kār se kaahe kā jhagḌā
koī kirdār bhī kab dā.imī hai
abhī sochā thā likhkhūñ chāñd is par
sar-e-qirtās phailī raushnī hai
tū 'ādil hai batā mere ḳhudāyā
guzārī ham ne jo vo zindagī hai
zamāne bhar ke ġham aur ik tirā ġham
isī ġham se hamārī har ḳhushī hai
agar aisā huā to aisā hogā
barā-e-jāñ 'azāb-e-āgahī hai
sunā hai fāteh-e-ālam thī lekin
mohabbat haath bāñdhe ab khaḌī hai
tire hote bahut āzād the ham
nahīñ tū paas to jaañ par banī hai
hue 'tasnīm' mushrik jis kī ḳhātir
use tauhīd kī hichkī lagī hai
guzishta kuchh dinon se bekali hai
kisi ki yaad ne haalat ye ki hai
jise sajde salami de rahe hain
tera sajda husain ibn-e-'ali hai
rasul-e-do-sara farma rahe hain
KHadija si na koi dusri hai
kahani-kar se kahe ka jhagDa
koi kirdar bhi kab daimi hai
abhi socha tha likhkhun chand is par
sar-e-qirtas phaili raushni hai
tu 'adil hai bata mere KHudaya
guzari hum ne jo wo zindagi hai
zamane bhar ke gham aur ek tera gham
isi gham se hamari har KHushi hai
agar aisa hua to aisa hoga
bara-e-jaan 'azab-e-agahi hai
suna hai fateh-e-alam thi lekin
mohabbat hath bandhe ab khaDi hai
tere hote bahut aazad the hum
nahin tu pas to jaan par bani hai
hue 'tasnim' mushrik jis ki KHatir
use tauhid ki hichki lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.