guzishta raat mujhe ruh tak rasai hui
guzishta raat mujhe ruuh tak rasā.ī huī
barāh-e-rāst kisī dil se āshnā.ī huī
batā rahā thā mujhe koī mere baare meñ
sunā rahā thā kahānī sunī-sunā.ī huī
baġhair samjhe uThāyā thā bār-e-kūza-garī
banā rahā thā maiñ shakleñ banī-banā.ī huī
maiñ pūchhtā huuñ koī hai jo vaqt rokegā
bhalā ye kaise rukegī zamīñ ghumā.ī huī
vo mere baa'd kisī aur kī mohabbat hai
luTā rahā hai vo daulat mirī kamā.ī huī
maiñ sochtā thā bhalā kaun mujh ko DhūñDegā
darūn-e-jism mirī ruuh tak khudā.ī huī
ye kis taraf se chalī hai havā-e-sard ye dhund
diloñ pe lipTī huī rāstoñ pe chhā.ī huī
maiñ is pe ḳhush bhī huā aur kuchh fasurda bhī
vo kar rahā hai mohabbat mirī sikhā.ī huī
maiñ jis ġhubār meñ āñkhoñ ko mal rahā thā 'uzair'
vo gard aur hī pairoñ kī thī uḌaa.ī huī
guzishta raat mujhe ruh tak rasai hui
barah-e-rast kisi dil se aashnai hui
bata raha tha mujhe koi mere bare mein
suna raha tha kahani suni-sunai hui
baghair samjhe uThaya tha bar-e-kuza-gari
bana raha tha main shaklen bani-banai hui
main puchhta hun koi hai jo waqt rokega
bhala ye kaise rukegi zamin ghumai hui
wo mere ba'd kisi aur ki mohabbat hai
luTa raha hai wo daulat meri kamai hui
main sochta tha bhala kaun mujh ko DhunDega
darun-e-jism meri ruh tak khudai hui
ye kis taraf se chali hai hawa-e-sard ye dhund
dilon pe lipTi hui raston pe chhai hui
main is pe KHush bhi hua aur kuchh fasurda bhi
wo kar raha hai mohabbat meri sikhai hui
main jis ghubar mein aankhon ko mal raha tha 'uzair'
wo gard aur hi pairon ki thi uDai hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.