guzishta waqt ki har baat aani jaani hui
guzishta vaqt kī har baat aanī jaanī huī
ye baat agle safar kī na.ī nishānī huī
lagā ke baiTh ga.e shart dast-o-bāzū kī
agarche dil meñ hai pahle se haar maanī huī
judā kiyā hai use aap hī to chup kyoñ ho
bhalā ye kaun se jazbe kī tarjumānī huī
use phir aur kisī sher meñ kahā na gayā
jo baat aap se pichhle dinoñ zabānī huī
sunā.e jaa.eñ agar koī sunñe vaalā ho
kisī kī yaad hamāre liye kahānī huī
badal gayā hai chalan shahr-e-ārzū kā 'nasīm'
is ahd-e-nau meñ tumhārī vafā purānī huī
guzishta waqt ki har baat aani jaani hui
ye baat agle safar ki nai nishani hui
laga ke baiTh gae shart dast-o-bazu ki
agarche dil mein hai pahle se haar mani hui
juda kiya hai use aap hi to chup kyon ho
bhala ye kaun se jazbe ki tarjumani hui
use phir aur kisi sher mein kaha na gaya
jo baat aap se pichhle dinon zabani hui
sunae jaen agar koi sunne wala ho
kisi ki yaad hamare liye kahani hui
badal gaya hai chalan shahr-e-arzu ka 'nasim'
is ahd-e-nau mein tumhaari wafa purani hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.