guzra bahut hai usko giran jaanta hun main
guzrā bahut hai us ko girāñ jāntā huuñ maiñ
par thā usī ke haq meñ bayāñ jāntā huuñ maiñ
vo nafratoñ kī aag meñ be-rahm jal gayā
ab hai vujūd us kā dhuāñ jāntā huuñ maiñ
dīvāna hai jalī huī rākhoñ ke Dher meñ
jo DhūñDhtā hai apnā nishāñ jāntā huuñ maiñ
āñkheñ thiiñ us kī shoḳh hayā-dār ho ga.iiñ
ab ho gayā hai vo bhī javāñ jāntā huuñ huuñ
saaqī girā huā huuñ nashe meñ to kyā huā
masjid se kyoñ huī hai azaañ jāntā huuñ maiñ
'gauhar' har ek gaam Thahar jaa.e kyoñ na dar
jhuknā hai mere sar ko kahāñ jāntā huuñ maiñ
guzra bahut hai us ko giran jaanta hun main
par tha usi ke haq mein bayan jaanta hun main
wo nafraton ki aag mein be-rahm jal gaya
ab hai wujud us ka dhuan jaanta hun main
diwana hai jali hui rakhon ke Dher mein
jo DhunDhta hai apna nishan jaanta hun main
aankhen thin us ki shoKH haya-dar ho gain
ab ho gaya hai wo bhi jawan jaanta hun hun
saqi gira hua hun nashe mein to kya hua
masjid se kyon hui hai azan jaanta hun main
'gauhar' har ek gam Thahar jae kyon na dar
jhukna hai mere sar ko kahan jaanta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.