guzre dinon ka zikr hua aur virani ki baat chali
guzre dinoñ kā zikr huā aur vīrānī kī baat chalī
ik muddat se ḳhushk thiiñ āñkheñ phir paanī kī baat chalī
us kī galī se sho.ala uTThā mere ghar meñ aag lagī
jalne kā to zikr nahīñ thā tābānī kī baat chalī
mushkil manzar dekhte rahnā us kī purānī aadat thī
mushkil se is chashm ke aage āsānī kī baat chalī
bādal aa.e havā chalī aur bāhar mausam badal gayā
dil ke bahte dariyā meñ bhī tuġhyānī kī baat chalī
māyūsī ke patthar se ik aas kā chashma phuuT bahā
aas ke bahte paanī meñ phir hairānī kī baat chalī
raushan ho ga.iiñ saarī galiyāñ sab darvāze chamak uThe
jab se 'āmir' shahr meñ us kī mehmānī kī baat chalī
guzre dinon ka zikr hua aur virani ki baat chali
ek muddat se KHushk thin aankhen phir pani ki baat chali
us ki gali se shoala uTTha mere ghar mein aag lagi
jalne ka to zikr nahin tha tabani ki baat chali
mushkil manzar dekhte rahna us ki purani aadat thi
mushkil se is chashm ke aage aasani ki baat chali
baadal aae hawa chali aur bahar mausam badal gaya
dil ke bahte dariya mein bhi tughyani ki baat chali
mayusi ke patthar se ek aas ka chashma phuT baha
aas ke bahte pani mein phir hairani ki baat chali
raushan ho gain sari galiyan sab darwaze chamak uThe
jab se 'amir' shahr mein us ki mehmani ki baat chali
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 45)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.