guzre hain jab se zawiya-e-agahi se hum

guzre hain jab se zawiya-e-agahi se hum
Mohammad Abdul Qadir Adeeb
MORE BYMohammad Abdul Qadir Adeeb
guzre haiñ jab se zāviya-e-āgahī se ham
duniyā se be-niyāz hue haiñ ḳhushī se ham
khāte rahe fareb-e-musalsal kisī se ham
karte haiñ pyaar phir bhī usī sādgī se ham
paanī meñ jab se aag lagā.ī hai dhuup ne
vahshat-zada haiñ ashk kī tābindagī se ham
hote hī ham-ḳhayāl 'ajab haal ho gayā
sarshār se hue haiñ tirī ik ḳhushī se ham
laa.eñ kahāñ se taab kise hosh hai 'adīb'
jal-bujh ga.e haiñ husn kī sho’la-zanī se ham
guzre hain jab se zawiya-e-agahi se hum
duniya se be-niyaz hue hain KHushi se hum
khate rahe fareb-e-musalsal kisi se hum
karte hain pyar phir bhi usi sadgi se hum
pani mein jab se aag lagai hai dhup ne
wahshat-zada hain ashk ki tabindagi se hum
hote hi ham-KHayal 'ajab haal ho gaya
sarshaar se hue hain teri ek KHushi se hum
laen kahan se tab kise hosh hai 'adib'
jal-bujh gae hain husn ki sho’la-zani se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.