guzre hue lamhat ko rudad karoge
guzre hue lamhāt ko rūdād karoge
jis vaqt marāsim na.e ījād karoge
gar tark-e-ta'alluq pe baḌā naaz hai tum ko
par ham jo na hoñge to bahut yaad karoge
aksar mirī tasvīr ko āñkhoñ meñ basā kar
toḌoge koī shai koī barbād karoge
ehsās ke mandir meñ mohabbat kā janāza
dekhoge to be-sāḳhta fariyād karoge
dil aap kī yādoñ meñ giraftār rahegā
qaidī ko mukammal kahāñ āzād karoge
manzil ko pahuñch jā.egā bhaTkā huā raahī
jab shahr-e-suḳhanvar koī ābād karoge
tum husn kā 'mehvar' ho zamāne kī nazar meñ
kyā ḳhaak mire baa'd mujhe yaad karoge
guzre hue lamhat ko rudad karoge
jis waqt marasim nae ijad karoge
gar tark-e-ta'alluq pe baDa naz hai tum ko
par hum jo na honge to bahut yaad karoge
aksar meri taswir ko aankhon mein basa kar
toDoge koi shai koi barbaad karoge
ehsas ke mandir mein mohabbat ka janaza
dekhoge to be-saKHta fariyaad karoge
dil aap ki yaadon mein giraftar rahega
qaidi ko mukammal kahan aazad karoge
manzil ko pahunch jaega bhaTka hua rahi
jab shahr-e-suKHanwar koi aabaad karoge
tum husn ka 'mehwar' ho zamane ki nazar mein
kya KHak mere ba'd mujhe yaad karoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.