guzre lamhon ke dobara panne khol rahi hun main
guzre lamhoñ ke dobāra panne khol rahī huuñ maiñ
thoḌe qisse yaad haiñ mujh ko thoḌe bhuul ga.ī huuñ maiñ
roz sub.h uTh jaayā karte haiñ mujh meñ kirdār ka.ī
par bistar se ḳhud ko tanhā uThte dekh rahī huuñ maiñ
sochā hai maiñ dard chhupā lūñgī apne āsānī se
siine meñ jāsūs chhupā hai ye kyuuñ bhuul rahī huuñ maiñ
ek sabab ye bhī hañste hañste chup ho jaane kā
apne uupar zimmedārī zyāda oḌh chukī huuñ maiñ
isī liye be-sabr huuñ us ke man kī bāteñ sunñe ko
apne man kī saarī bāteñ us se bol chukī huuñ maiñ
guzre lamhon ke dobara panne khol rahi hun main
thoDe qisse yaad hain mujh ko thoDe bhul gai hun main
roz subh uTh jaya karte hain mujh mein kirdar kai
par bistar se KHud ko tanha uThte dekh rahi hun main
socha hai main dard chhupa lungi apne aasani se
sine mein jasus chhupa hai ye kyun bhul rahi hun main
ek sabab ye bhi hanste hanste chup ho jaane ka
apne upar zimmedari zyaada oDh chuki hun main
isi liye be-sabr hun us ke man ki baaten sunne ko
apne man ki sari baaten us se bol chuki hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.