guzre waqton ki wo tahrir sambhaale hue hain
guzre vaqtoñ kī vo tahrīr sambhāle hue haiñ
dil ko bahlāne kī tadbīr sambhāle hue haiñ
bāñdh rakkhā hai hameñ jis ne abhī tak jānāñ
ham mohabbat kī vo zanjīr sambhāle hue haiñ
dekhte rahte haiñ ajdād ke chehre jis meñ
ham vafāoñ kī vo tasvīr sambhāle hue haiñ
jin lakīroñ meñ nujūmī ne kahā thā tū hai
donoñ hāthoñ meñ vo taqdīr sambhāle hue haiñ
vasl kī shab meñ jo dekhe the sunahrī sapne
un kī ham aaj bhī tadbīr sambhāle hue haiñ
guzre waqton ki wo tahrir sambhaale hue hain
dil ko bahlane ki tadbir sambhaale hue hain
bandh rakkha hai hamein jis ne abhi tak jaanan
hum mohabbat ki wo zanjir sambhaale hue hain
dekhte rahte hain ajdad ke chehre jis mein
hum wafaon ki wo taswir sambhaale hue hain
jin lakiron mein nujumi ne kaha tha tu hai
donon hathon mein wo taqdir sambhaale hue hain
wasl ki shab mein jo dekhe the sunahri sapne
un ki hum aaj bhi tadbir sambhaale hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.