guzren phir ek hadsa-e-KHun-chakan se hum
guzren phir ek hadsa-e-KHun-chakan se hum
Maqbool Ahmad Maqbool
MORE BYMaqbool Ahmad Maqbool
guzreñ phir ek hādsa-e-ḳhūñ-chakāñ se ham
ai dost aisā hausla laa.eñ kahāñ se ham
har din haiñ mushkilāt o masā.il na.e na.e
shāyad guzar rahe haiñ kisī imtihāñ se ham
paidā ho kaise jazba-e-tasḳhīr-e-kā.enāt
āzād hī na ho sake vahm-o-gumāñ se ham
apne liye jo bā.is-e-sad-iftiḳhār thī
ab us ghaḌī ko DhūñD ke laa.eñ kahāñ se ham
rahzan kā ḳhauf chhoḌiye pahle ye sochiye
ḳhud ko bachā ke kaise rakheñ pāsbāñ se ham
kaise alag kareñgī zamāne kī gardisheñ
hindostāñ hai ham se to hindostāñ se ham
'maqbūl' kyā kareñ ki tabī.at hai haq-pasand
mahzūz hone vaale nahīñ dāstāñ se ham
guzren phir ek hadsa-e-KHun-chakan se hum
ai dost aisa hausla laen kahan se hum
har din hain mushkilat o masail nae nae
shayad guzar rahe hain kisi imtihan se hum
paida ho kaise jazba-e-tasKHir-e-kaenat
aazad hi na ho sake wahm-o-guman se hum
apne liye jo bais-e-sad-iftiKHar thi
ab us ghaDi ko DhunD ke laen kahan se hum
rahzan ka KHauf chhoDiye pahle ye sochiye
KHud ko bacha ke kaise rakhen pasban se hum
kaise alag karengi zamane ki gardishen
hindostan hai hum se to hindostan se hum
'maqbul' kya karen ki tabiat hai haq-pasand
mahzuz hone wale nahin dastan se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.